Thursday, June 18, 2009

unknown

ussne kaha mujhse kitna pyar hai,
maine kaha sitaron ka koi shumar hai ?
ussne kaha ke kaun tumhe hai bohut aziz
maine kaha ke dil par jis ka ikhtiyar hai
ussne kaha ke kaun sa taufa hai manpasand ?
maine kaha wo sham jo ab tak udar hai,
ussne kaha khazan main mulaqat ka jawaz
maine kaha ke qurb ka matlb bahar hal
ussne kaha sainkadon ghum zindagi main hain
maine kaha ke ghum nahi jab ghum gazar ho
ussne kaha sath kahan tak nibhaoge
maine kaha ke jitni sanson ki taar hai
ussne kaha mujhko yaqeen aaye kis tarha
maine kaha ke naam mera aitbaar hai...

No comments:

Post a Comment

wel come