Sunday, June 14, 2009

unknown

bilaakhir yeh hasin manzar mita dena hi padta hai
kisi ke sar se shaane se hata dena hi padta hai
kisi dair aashna ko jhoothe sache kuch hawalon se
tarruf ke liye sab se mila dena hi padta hai
jo sanson mein mehakte hain jo aankhon mein damkate hain
achanak ek din unnko bhula dena hi padta hai
diye jo hum jalate hain nihayat shaunq se har shab
unhen khud apni phonkon se bujha dena hi padta hai
koi jab puchta hai humse kaisa haal hai 'sajid'
hamen mohtaat ho kar muskura dena hi padta hai
chamak uthte hain 'sajid' jab sitare usski palkon par
usse dil se laga kar hausla dena hi padta hai

No comments:

Post a Comment

wel come