Thursday, June 18, 2009

unknown

aankhein benoor dil viran kar gaya
ek shaks mujhko tanha kar gaya
khushyian le gaya hai woh sari faqat
mere naam ghamon ka jahan kar gaya
chalte chalte aachanak mujhse
juda aise hua mujhe hiraan kar gaya
sochti hun iss tanha mausam mein
char suu yeh kaisa sama kar gaya
koi kisi ka hota hi nahi yahan
jate jate yahi farmaan kar gaya
khatm hona jiska mumkin nahi aisa
hizr ka taweel fasila kar gaya
bechani ka betabi ka dil mein
ek tufan sa barpa kar gaya
bichda toh mujhko ehsaas hua
mujhko mujhse juda kar gaya
chalna jis pe kabhi asaan tha apna
aaj wohi kathin rasta kar gaya
apni bhi kuch mana gaya aakhir woh
meri bhi kuch baat maan kar gaya
mere koocha-e-viran se jate jate
har rasam-e-waffa nibha kar gaya
surat aaiine mein dekhun toh sochun khud
mein kiya thi woh mujhko kiya kar gaya

No comments:

Post a Comment

wel come