Friday, June 12, 2009

unknown

gham-gashta mohbbat ke khwabon ki tarah hai
vo ruuh ke sehra mein sarabon ki tarah hai
vo zeest ke maktab mein nisabon ki tarah hai
padhta hun usse roz, kitabon ki tarah hai
ab unnse khiyalon mein hi ho jati hain baatien
jo beech mein parda sa hijabon ki tarah hai
uss shaks ke lehje mein sheeshe ki khanak hai
rag rag mein utarta hai, sharabon ki tarah hai
uss shaks ke paikar mein hai shaakhon ki lachak si
uss shaks ka chehra bhi gulabon ki tarah hai
jo vasal ki raaton mein hai ik mah-e-munavar
furqat mein wohi shaks azabon ki tarah hai

No comments:

Post a Comment

wel come