Wednesday, June 24, 2009

unknown


qadam qadam pe naya marhala tha kya karti
taweel hota gaya faasla main kya karti !
har ek shaks ko tha zaum-e rehbari kitna,
bhatak raha tha mera qaafila main kya karti! ?
gham-e-hayaat, gham-e-ishq aur gham-e-janaan'
ulajh gaya tha har ik silsila main kya karti !
tumhare saath kise faisle ki fursat thi,
tumhare baad bhala faisla main kya karti
bohat sambhal ke rakha tha dil main raaz tera,
vo ban ke ashq jo girne laga main kya karti.
mujhi se maangne aaya vo le ke majboori,
ab uss se usski zaffa ka gila main kya karti.
vo aansuon ki zabaan' jaanta na tha meri,
mujhe bayaan' ka na tha hosla main kya karti.

No comments:

Post a Comment

wel come