Sunday, June 14, 2009

unknown

tu ke na-wakif-e-adab-e-gulami hai abhi
raqs zanjeer pehn kar bhi kiya jata hai
aaj qatil ki yeh marzi hai ke sirkash ladki
sar-e-qatil tujhe koron se nachaya jaaye
maut ke raqs zamane ko dikhaya jaaye
iss tarah zulm ko zazarana diya ja sakta hai
raqs zanjeer pehan kar bhi kiya ja sakta hai
dekh friyad na kar, sar na jhuka, paaon utha
kal ke jo log larenge toh abhi se kaar ja
nachte nachte aazadi ki khatir mar ja
manzil-e-ishq mein mar mar ke jiya jaata hai
raqs najzeer pehan kar bhi kiya jata hai

No comments:

Post a Comment

wel come