Sunday, June 14, 2009

unknown

iss dil ne tere baad mohbbat bhi nahi ki
hadh yeh ke dhadkane ki jisa'arat bhi nahi ki
tabeer ka aizaaz hua hai usse hasil
jisne mere khaboo'b mein shirakat bhi nahi ki
ulfat toh badi baat hai humse toh sar-e-shahr
logon ne kabhi bhang se nafrat bhi nahi ki
aadat-e-safar ab vo sikhate hain jinhon ne
do char qadam tak yeh musaafat bhi nahi ki
kya apni safaai mein bayan dete ke humne
na karda gunahi ki wazahat bhi nahi ki
khamosh tamashayi ki manind sar-e-bazm
so zakhm sahe dil pe, shikayat bhi nahi ki
iss ghar ke sabhi log mujhe chodne aaye
dehleez talak ussne yeh zehmat bhi nahi ki
ussne bhi ghulamon ki safoo'n mein hamen rakha
iss dil pe kabhi jis ne hakumat bhi nahi ki !!

No comments:

Post a Comment

wel come