Wednesday, June 24, 2009

unknown

hota jo unhen humse pyar toh kuch aur baat hoti
karte vo agar mera intzaar toh kuch aur baat hoti
dillagi karte karte dil ki lagi vo de gaye
dete gar vo apna dil toh kuch aur baat hoti
hota hai unnpe bhi shayad mere gham ka asar
hota jo vo mera hamsafar toh kuch aur baat hoti
meri mohbbat ko vo kamjori samajh baithe
vo bhi jo karte mohbbat toh kuch aur baat hoti .........
faaslon se rehti hai rishton mein mehak suno
saath se bhi rehti qurbat toh kuch aur baat hoti
vo aaye meri zindgi mein khiza ban kar
ek baar bahar bante toh kuch aur baat hoti
har kadam humko unnhone diye hain dhokhe
agar vo bhi waffa nibhate toh kuch aur baat hoti
gunah mohbbat hui jabse unnke haalat badale hai
vo meri mohbbat samjh jaate toh kuch aur baat hoti
aankhon ko humne apni unnse milne na diya tha kabhi
nashe ke liye ashq-e-jaam paate toh kuch aur baat hoti
woh gaiiron ko pila rahe thay haas haas ke vo jaam
hamen ek jaam apni aankhon se pilate toh kuch aur baat hoti
.......
maut ka safar bhi taskeen bhara ho sakta tha mera
unnke pehlon mein aankhri saans aati toh kuch aur baat hoti
gir gir kar sambhal rahi thi main zindgi ke safar mein,
gar thaam lete aap mera haath toh kuch aur baat hoti....
thamna zindgi mein nahi chlate jaana suno sakhi
kaaton se paaye manzile toh kuch aur baat hoti
qadam-dar-qadam milte hain yahan waaiz-naaseh,
tu khud hi banaata raaste toh kuch aur baat hoti...

No comments:

Post a Comment

wel come