Sunday, June 14, 2009

unknown

sakoot-e-jaan ka matlab bata do phir chale jana
ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana
jo mera aur tumhara waqt guzra hansne rone mein
usse poori tarha se tum bhula do phir chale jana
ye sare ped-pode tum bin kai raat jage hai
tum aake ek baar innko sula do phir chale jana
kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jaane ka
jo hai ahsaas tum ussko bhula do phir chale jana
bus ik murda hassi se apne ashkon ko chupane ka
jo fan aata hai tumko, vo sikha do phir chale jana
vo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maani se
bas inn alfaz-o-mani ko milado phir chale jana
jo kehte kehte ruk gaye, unn saari baaton ki
sama'at ko talab hai vo suna do phir chale jana
na jaane kyun hai lekin dekhne ki tumko aadat hai
meri ye bewajah adat chuda do phir chale jana~!!

No comments:

Post a Comment

wel come