Friday, June 12, 2009

unknown

laakh doori ho magar ahad nibhate rahna
jab bhi barish ho mera sog manate rahna
tum gaye ho toh sar-e-sham ye adat thehri
bas kinare pe khade haath hilate rahna
jaane iss dil ko ye adaab kahan se aaye
usski raahon main ankhen bichate rahna
ek muddat se yeh mamool hua hai ab toh
aap hi ruthna aur aap manate rehna
tum ko maloom hai farhat ye pagalpan hai
door jaate huye logo ko bulate rahna

No comments:

Post a Comment

wel come