Sunday, June 28, 2009

unknown

tanhai mein fariyad toh kar sakta hun
viraane ko aabad toh kar sakta hun
jab chahun tumhen mil nahi sakta lekin
jab chahun tumhen yaad toh kar sakta hun

koi hasse toh tujhe gham lage hassi na lage
ke dillagi bhi tere dil ko dillagi na lage
tu roz roya kare utth ke chaand raaton mein
khuda kare ki tera mere bagaiir jii na lage

achchi surat ko sanwarne ki zaroorat kya hai
sadgi mein bhi qayamat ki ada hoti hai
tum jo aa jaate ho masjid mein ada karne namaz
tumko mallum hai kitno ki qaza hoti hai

yeh jo diwane se do char nazar aate hain
inn mein kuch sahib-e-asraar nazar aate hain
teri mehfil ka bharam rakhte hain so jaate hain
varna yeh log toh bedaar nazar aate hain

mere daaman mein toh kaanton ke siva kuch bhi nahi
aap phoolon ke kharidaar nazar aate hain
hashr mein kaun gawahi meri dega 'sagar'
sab tumhare hi tarafdaar nazar aate hain

qasid payaam-e-khat ko dena bohat na tuul
bas mukhtasir yeh kehna ke aankhein taras gayi hain
kehna ghalat ghalat toh chhupana sahi sahi
qasid kaha jo uss ne batana sahi sahi
ye subhu subhu chehre ki rangat udi udi
kal raat tum kahan thay batana sahi sahi

maine puucha ke kal shab kahan thay
pehle sharmaye phir hass ke bole
baat kyun tum aisi puuchte ho
jo batane ke qabil nahi hai

yeh uddi uddi si rangat, yeh khule khule se gesu
teri subah keh rahi hai, teri shaam ka fasana
kal raat tum kahan thay batana sahi sahi

na hum samjhe na tum aaye kahin se
paseena poochiye apni jabeen se
kal raat tum kahan thay batana sahi sahi

na hum samjhe na tum aaye kahin se
paseena poochiye apni jabeen se
kal raat tum kahan thay batana sahi sahi
dil le ke mera haath mein kehte hain mujhse voh
kya loge isske daam batana sahi sahi
aankhein milao ghaiir se, do humko jaam-e-mai
saaqi tumhen kasam hai pilana sahi sahi

nasha pila kar girana toh sab ko aata hai
maza toh tab hai jab girtoun ko thaam le saaqi
nasha imaan hota hai, surahi deen hoti hai
jawani ki ibadat kis qadar rangiin hoti hai

sharab-e-naab ko do aatisha bana kar pila
sharab kam hai toh saaqi nazar mila kar pila
sharab ka koi apna sarih-e-rang nahi
sharab tajzia-e-ehtesaab karti hai

jo ahl-e-dil hain badhaati hai aabru unnki
jo be-shaur hain unnko kharab karti hai
saqi tumhen qasam hai pilana sahi sahi

ae ! mai_farosh bheed hai teri dukan par
gaahak hain hum bhi maal dikhana sahi sahi
'sajid' toh jaan-o-dil se faqat aapka hai bas
kya aap bhi hain usske batana sahi sahi

No comments:

Post a Comment

wel come