Tuesday, June 23, 2009

unknown

teri rehmaton ke dayyar mein tere badlon ko pata nahin
abhi aag sard hui nahin, abhi ik alao bujha nahin
meri bazm-e-dil toh ujad chuki,mera farsh-e-jaan toh simat chuka
sabhi ja chuke mere ham_nashin, magar ek shaks gaya nahin
dar-o-baam sab ne saja liye sabhi roshni mein naha liye
meri ungliyan bhi jhulas gayin, magar ik charagh jala nahin
gham-e-zindgi teri raah mein, shab-e-aarzu teri chah mein
jo ujad gaya woh basa nahin , jo bichad gaya woh mila nahin
jo dil-o-nazar ka saroor tha, mere paas reh ke bhi door tha
woh ik gulaab umeed ka,meri shakh-e-jaanpai khila nahin
pas-e-karvan sar-e-rehguzar main shikasta paa hoon toh iss liye
kai qadam toh sab ne mila liye, mera dil kisi se mila nahin
mera hamsafar jo ajeeb hai toh ajeeb tar hoon main aap bhi
mujhe manzilon ki khabar nahin, usse raste ka pata nahin

No comments:

Post a Comment

wel come