Wednesday, June 24, 2009

unknown


tum mujhe bhool bhi jaao toh ye haq hai tumko
meri baat aur hai maine toh mohabbat ki hai
mere dil ki, mere jazbaat ki kimat kya hai
uljhe-uljhe se khayalaa ki kimat kya hai
maine kyun pyar kiya, tumne na kyun pyar kiya
inn pareshan sawalat ki kimat kya hai
tum jo ye bhi na bataao toh ye haq hai tumko
meri baat aur hai maine toh mohabbat ki hai


zindagi sirf mohabbat nahin kuch aur bhi hai
zulf-o-rukhsar ki zannat nahin kuch aur bhi hai
bhook aur pyas ki maari hui iss duniya mein
ishq hi ek haqiquat nahin kuch aur bhi hai
tum agar aankh churaao toh ye haq hai tumko
maine tumse hi nahin sab se mohabbat ki hai

tumko duniya ke gham-o-dard se fursat na sahi
sabse ulfat sahi, mujhse hi mohabbat na sahi
main tumhari hun ye mere liye kya kam hai
tum mere ho ke raho ye meri qismat na sahi
aur bhi dil ko jalaao toh ye haq hai tumko
meri baat aur hai, maine toh mohabbat ki hai
tum mujhe bhool bhi jaao toh ye haq hai tumko
meri baat aur hai, maine toh mohabbat ki hai…

No comments:

Post a Comment

wel come