Tuesday, June 23, 2009

unknown

shehr ki raat aur main nashad-o-nakaara phirun
jagmgaati jaagti sadkon pe aawara phirun
gaiir ki basti hai kab tak dar_badar maraa phirun
ae gham-e-dil kya karun, ae wehshat-e-dil kya karun

jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke haathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

yeh rupehli chhaon yeh aakash par taaron ka jaal
jaise sufi ka tasavuur jaise aashiq ka khayal
aah lekin kaun jaane kaun samjhe jii ka haal
ae gham-e-dil kya karun, ae wehshat-e-dil kya karun

phir woh toota ik sitara phir woh chhuthi puljhadi
jaane kis ki goad mein aayi yeh moti ki ladi
hook si seene mein uthi chot si dil par padi
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

raat hass hass kar yeh kehti hei ke makhane mein chal
phir kisi shahnaz-e-lala_rukh ke kaashane mein chal
yeh nahin mumkin toh phir ae dost virane mein chal
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

har taraf hai bikhri hui, rangeeniyan, r'aanaiyan
har qadam par ishratein leti hui angdaiyan
badh rahi hai gaud phelai hui ruswaiyan
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

raaste mein ruk ke dam le lun meri aadat nahin
laut kar vaapas chala jaaon, meri fitrat nahin
aur koi ham_nava mil jaaye yeh qismat nahin
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

muntazir hai ek tufan-e-bala mere liye
ab bhi jane kitne darwaze hain waa mere liye
par musiibat hai mera ahd-e-waffa mere liye
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

jii mein aata hai ab ahd-e-waffa bhi tod dun
unnko paa sakta hun yeh aasra bi chhod dun
haan munasib hai yeh zanjeer-e-hawa bhi tod dun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

ik mehal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

dil mein ik shola bhadak utha hai aakhir kiya karun
mera paemaana chhalak utha hai aakhir kiya karun
zakhm seene ka mehak utha hai aakhir kiya karun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

jii mein aata hai murda chaand taare noch lun
iss kinare noch lun uss kinare noch lun
ek do ka zikar kiya saare ke saare noch lun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane
senkdon changez-o-naadir hain nazar ke samane
senkdon sultan-o-jabir hain nazar ke samne
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

le ke ek ek changez ke hathon se khanjar tod dun
taj par usske damakta hai jo pathar tod dun
koi tode ya na tode main hi badh ke tod dun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

badh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dun
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dun
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dun
ae gham-e-dil kya karun ae wehshat-e-dil kya karun

No comments:

Post a Comment

wel come