Sunday, June 14, 2009

unknown

kyu khilwat-e ghum mein rehte ho, kyu gosha nashin bekaar huye
akhir tumhen sadma kya pohncha, kya soch ke khud azaar huye
kyu saaf kushada raston par tum thokare khate phirte ho
kyu teera-o taar si galiyon mein tum aan ke khush-raftar huye
kyu rasta chod ke chalte ho, kyu logon se katrate ho
kyu chalte phirte apne liye, tum aap hi ik diwar huye
kya uth'te beth'te sochte ho, kya likhte padhte rehte ho
iss umar mein ye be-kaifi kyu, kis wastay nek atwaar huye
kyu aise safar pe nikle ho manzil nahi jis ki koi bhi
kyu raah pe aisi chalte ho, saaye bhi jahan diwaar huye
kyu tark-e-talluq ko tum ne samjha hai ilaaj-e-gham akhir
dekho toh wali sofi bhi yahan kis thaath ke duniya-daar huye
mayyusi-e-paham se tum ne yarana ye kaisa ghantha hai
andoh alam thay jitne bhi, akhir vo gale ka haar huye
iss kalba-e-ehzaan se hargiz, ubhrega na suraj koi bhi
kab khaak sitara baar hui, kab saaye sahar asaar huye
kab subha ke naale kaam aaye, kya garyaa-e-neem shabi se mila
iss qarya-e khwab-e faroshan mein tum kis ke leye bedaar huye
bekaar ulajhte rehte ho kyu ulti seedhi baaton mein
ye marhale wasl-o hizran ke ab aise bhi kyu dushvar huye
uss koche ki raah toh samjhaao, jis koche mein jana mushkil hai
uss shaks ka naam toh batlaao, tum jis ke leye bimar huye
mashfaq ne ye baaten sun ke kaha, baaten na hui'n ashaar huye
ye dard batane wale bhi kis shaan ke khush guftaar huye
sad shukar ke khush usloobi se takmeel ko pohanchi ruswai
muhtaaj-e dua thay jo khud hi akhir vo mere gham khwaar huye~!!

No comments:

Post a Comment

wel come