Saturday, June 13, 2009

unknown

royenge hum hazaar bar koi hamen behlaye kyon
dil hi toh hai jo chahe tujhe koi hamen sataye kyon
na hai haq koi in ansoon pe zalim abb tera
din mere raatein meri ab koi hamen rulaye kyon
sakun nahi, araam nahi jab se juda huye sanam
kiya hai jaise barbaad tune aur koi hamen tadpaye kyon
haan khatm-e-mohbbat ki kahani puri hui tum par
khazan mein ujda shjar hun bahar koi hamen bolaye kyon
ghar nahi woh log nahi koi apna nahi raha ab mera
rutha hai rab mujhse aadm abb koi hamen manaye kyon
kar liya faisala ab hum dil na lageynge kissi se
jo mera apna tha vo ghaiir hua koi aur dil mein basaaye kyon
jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga 'ishq' tera
woh apna daman bacha rahen hain koi hamen bachaaye kyon
roenge hum hazaar bar koi hamen behlaaye kyon
dil hi to hai jo chahe tujhe koi hamen sataaye kyon

No comments:

Post a Comment

wel come