Friday, June 12, 2009

unknown

jaane kya kya na tamasha hoga
dil bhare shehr mein tanha hoga
bewaffa mujhko samajhne wale !
tera mayyar-e-waffa kya hoga ?
kisi boaseeda dareeche se kabhi
naya manzar nazar aata hoga ?
meri qismat mein toh viraani hai
haaye,woh shaks bhi tanha hoga !
yaas mein behte huye ashkon se
usska takya kabhi bheega hoga
chand raaton ke guzar jane par
jaane kis haal mein dariya hoga !

No comments:

Post a Comment

wel come