Tuesday, June 23, 2009

unknown


zindgi ke mele mein khuahishon ke rele mein
tumse kya kahen jaana iss kadar jhamele mein
waqt ki rawani hai bakht ki garani hai
sakh be_zamiine hai sakht la_makani hai
hizr ke samander mein
takht aur takhte ki ek hi kahani hai
tumko jo sunani hai baat go zara si hai
baat umar bhar ki hai
umar bhat ki baatein kab do ghadi mein hoti hain
dard ke samandar mein un_ginat jazeere hain
be_shumaar moti hain
aankh ke dareeche mein tum ne jo sunaya tha
baat uss uss diye ki hai
baat uss gile ki hai
jo lahoo ki khalwat mein chor ban ke aata hai
lafz ki fasiilon par toot toot jaata hai
zindagi se lambi hai baat rat_jage ki hai
raste mein kaise ho baat takhliye ki hai
takhliye ki baaton mein guftagu izafi hai

pyar karne walon ko ik nigah kafi hai

No comments:

Post a Comment

wel come