Friday, June 12, 2009

unknown

karb ke shehr se nikle toh ye manzar dekha
hamen logon ne bulaya hamen chuu kar dekha
jab bhi chaha ke malbus waffa ko chuu lena
masl-e-khushbu koi urta hua paikar dekha
wo barsat mein bhega toh nigahen uthen
yun laga hai koi tarasha hua pathar dekha
zindagi kitni pareshan hai ye socha bhi na tha
uss ke atraf mein sholon ka samandar dekha
aa gaye gam ki hawa phir tere geso chuu kar
hum ne virana-e-dil phir se moatar dekha
wo jo udti hai sada dasht waffa mein afzal
ussi matti mein nihan dard ka gohar dekha

No comments:

Post a Comment

wel come