Sunday, June 14, 2009

unknown

jab yunhi kabhi baithe baithe, kuch yaad achanak aa jaaye
her baat se dil bezar sa ho, har cheez se dil ghabra jaaye
karna bhi mujhe kuch aur hi ho, kuch aur hi mujhse ho jaaye
kuch aur hi sochon mein dil mein, kuch aur hi honton per aaye
aise hi kisi ik lamhe mein, chupke se kabhi khamoshi mein
kuch phool achanak khil jaayen, kuch beete lamhe yaad aayen
uss waqt teri yaad aati hai
jab chandni dil ke angan mein, kuch kehne mujhse aa jaaye
aur khabeeda se chhu ke koi, ehsaas pe mere chha jaaye
jab zulf preshan chehre par, kuch aur pareshan ho jaaye
jab dard bhi dil mein hone lage, aur saans bhi bojhal ho jaaye aise hi
kisi ik lamhe mein chupke se kabhi khamoshi mein
kuch phool achanak khil jaayen kuch beete lamhe yaad aayen
uss waqt teri yaad aati hai
jab sham dhale chalte chalte manzil ka na ko naam mile
hasta hua ik aghaz mile rota hoa ik anjam mile

palkon ke larazte ashkon se iss dil ko koi pegham mile
aur saari waffaon ke badle mujhko hi koi illzam mile
aise hi kisi ik lamhe min chupke se kabhi khamoshi mein
kuch phool achanak khil jaayen kuch beete lamhe yaad aayen
uss waqt teri yaad aati hai
shiddat se teri yaad aati hai

No comments:

Post a Comment

wel come