Sunday, June 14, 2009

unknown

mujhe appne zabt penaaz tha
sar-e-bazm raat yeh kiya hua
meri aankh kaise chalak gayi
mujhe ranj hai yeh bura hua
meri zindagi ke chiraag ka
yeh mezaj kuch naya nahi
abhi roshni abhi teergi
na jala hua na bujha hua
mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila
vo pukhta kar-e-jehan mila
na kisi ki zerb ghalat padi
na kisi ka teer khata hua
mujhe raste mein pada hua
ek ajnabi ka khat mila
kahin khoon-e-dil se likha hua
kahin aanson se mita hua
mujhe humsafar bhi mila toh vo
sitam zareef meri tarah
kai manzilon ka thaka hua
kai raston main lutta hua

No comments:

Post a Comment

wel come