Sunday, June 14, 2009

unknown

kathin hai zindagi kitni
safar dushwar kitna hai
kabhi paaon nahin chalte
kabhi rasta nahin milta
hamara sath de paaye
koi aisa nahin milta
faqat aise guzaron toh
ye roz-o-shab nahin kat'te
ye kat'te thay kabhi pehle
magar haan ab nahin kat'te
mujhe phir bhi mere malik
koi shikwa nahin tujhse
main jaan par khel sakta hun
main har dukh jhel sakta hun
agar tu aaj hi kar de
mohbbat hamsafar meri

No comments:

Post a Comment

wel come