Thursday, June 18, 2009

unknown

tum meri aankh ke tevar na bhula paaoge
unkahi baat ko samjhoge toh yaad aaunga
humne khushiyon ki tarha dukh bhi ikhate dekhe
safha-e-ziist ko paltoge toh yaad aaunga
iss judai mein tum andar se bikhar jaaoge
kisi maazoor ko dekhoge toh yaad aaunga
issi andaz mein hote thay mukhaatib mujhse
khat kisi aur ko likhoge toh yaad aaunga
meri khusbhu tumhe khoegi gulaabon ki tarha
tum agar khud se na bologe toh yaad aaunga
sard raaton ke mehakte huye sanaaton mein
jab kisi phool ko chumoge toh yaad aaunga
aaj toh mehfil-e-yaaran pe ho magroor bohat
jab kabhi toot ke bikharoge toh yaad aaunga
ab toh ye ashq main honton se chura leta hun
haath se khud innhe ponchoge toh yaad aaunga
haadse aayenge jiwan mein toh tum ho ke nidhaal
kisi diwar ko thaamoge toh yaad aaunga
iss mein shamil hai mere bakht ki taarikhi bhi
toh siyaah rang jo pehanoge toh yaad aaunga

No comments:

Post a Comment

wel come