Sunday, June 14, 2009

unknown

main muqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla...
qura-e-faal mere naam ka aksar nikla...
tha jinhen za-am woh dariya bhi mujhe mein doobe...
main ke sehra nazar aata tha samandar nikla...
maine uss jaan-e-baharaan ko buhat yaad kiya...
jab koi phool meri shaakh-e-hunar se nikla...
shehar walon ki muhbbat ka main qayal hun magar...
meine jis haath ko chuuma wohi khanjar nikla...

No comments:

Post a Comment

wel come