Sunday, June 14, 2009

wasi shah ki shayyiri

tere gale mein jo bahaon ko daal rakhte hain
tujhe manane ka kaisa kamal rakhte hain
tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir
bohat se kaam muqaddar pe taal rakhte hain
koi bhi faisla hum soch kar nahi karte
tumhare naam ka sikka uchhaal rakhte hain
tumhare baad ye aadat si ho gayi apni
bikharte sukhte pat'te sambhal rakhte hain
khushi si milti hai khudko aziyaten de kar
so jaan-bujh ke dil ko nidhal rakhte hain
kabhi kabhi vo mujhe hass ke dekh lete hain
kabhi kabhi mera behadh khayal rakhte hain
tumhare hizr mein ye haal ho gaya apna
kisi ka khat ho usse bhi sambhal rakhte hain
khushi mile toh tere baad khush nahi hote
hum apni aankh mein har dam malaal rakhte hain
zamane bhar se chhupa kar vo apne aanchal mein
mere wujood ke tukde sambhal rakhte hain
kuch iss liye bhi toh behaal ho gaye hum log
tumhari yaad ka behadh khayal rakhte hain

No comments:

Post a Comment

wel come