Sunday, June 14, 2009

wasi shah ki shayyiri

gungunate huye aanchal ki hawa de mujhko
ungliyan pher ke baalon mein sula de mujhko
jis tarah faltu guldan pade rehte hain
apne ghar ke kisi kone se laga de mujhko
yaad kar ke mujhe takleef hoti hogi
ek qissa hun purana sa bhula de mujhko
duubte duubte aawaz teri sun jaaon
aakhri baar toh sahil se sada de mujhko
main tere hizr mein chup chap na marr jaaon kahin
main hun sakte mein kabhi aa ke rula de mujhko
dekh main ho gaya badnam kitabon ki tarah
meri tash'hiir na kar ab toh jala de mujhko
ruthna tera meri jaan liye jaata hai
aise naaraz na ho, hass ke dekha de mujhko
aur kuch bhi nahi manga mere maalik tujhse
usski galiyon mein padi khaak bana de mujhko
log kehte hain ke ye ishq nighal jaata hai
main bhi iss ishq mein aaya hun, duna de mujhko
yahi auqat hai meri tere jiwan mein ke main
koi kamzor sa lamha hun, bhula de mujhko

No comments:

Post a Comment

wel come