Sunday, June 14, 2009

wasi shah ki shayyiri

baandh len haath pe seene pe saja len tumko
jii mein aata hai ke ta'aviz bana len tumko
phir tumhen roz sanwaren tumhen badhta dekhen
kyun na aangan mein chanbeli sa laga len tumko
jaise baalon mein koi phool chuna karta hai
ghar ke guldan mein phoolon sa saja len tumko
kya azab khahishen uth'ti hain hamare dil mein
kar ke munna sa hawaon mein uchhalen tumko
iss qadar toot ke tumpe hamen pyar aata hai
apni bahaon mein bharen maar hi daalen tumko
kabhi khwabon ki tarah aankh ke parde mein raho
kabhi khahish ki tarah dil mein bula len tumko
hai tumhare liye kuch aisi aqeedat dil mein
apne haathon mein duaon sa uthha len tumko
jaan dene ki ikaazat bhi nahi dete ho
varna mar jaayen bhi, mar ke mana len tumko
jis tarah raat ke seene mein hai mahtab ka noor
apne taarik makanon mein saja len tumko
ab toh bas ek hi khahish hai kisi mod par tum
humko bikhre huye mil jao, sambhalen tumko

No comments:

Post a Comment

wel come