Sunday, June 14, 2009

wasi shah ki shayyiri

abhi toh ishq mein aisa bhi haal hona hai
ke ashq rokna tumse mohaal hona hai
har ek laab pe hai meri waffa ke afsane
tere sitaam ko abhi lazawal hona hai
baja hai ke khaar hain lekin bahar ki ruut mein
yeh tai hai ke hamen bhi nehaal hona hai
tumhen khabar hi nahin tum toh loot jaaoge
tumhare hizr mein ik lamha bhi saal hona hai
hamari ruuh pe jab bhi azaab utrein hai
tumhari yaad ko iss dil ki dhaal hona hai
kabhi toh royega woh bhi kisi ki bhahon mein
kabhi toh usski hansi ko zawal hona hai
milegi humko bhi apne naseeb ki khushiyan
bas intzaar hai kab yeh kamal hona hai
har shaks chalega hamari rahon par
mohbbton mein humen woh misaal hona hai
zamana jis ke kham-o-peech mein uljh jaaye
hamari zaat ko aisa sawal hona hai
'wasi' yaqeen hai mujhko woh laut ayega
usse bhi apne kiye ka milal hona hai

No comments:

Post a Comment

wel come