Tuesday, June 23, 2009

unknown


zakhm muskurate hain ab bhi teri aahat par
dard bhool jaate hain ab bhi teri aahat par
shabnami sitaron mein phool khilne lagte hain
chand muskurata hai ab bhi teri aahat par
umar kaat di lekin bachpana nahi jaata
hum diya jalate hain ab bhi teri aahat par
ghantiyan si bajti hain raks hone lagta hai
dard jagmagate hain ab bhi teri aahat par
teri yaad aaye toh neend jaati rehti hai
khaab toot jaate hain ab bhi teri aahat par
jo sitam kare aa kar sab qabool hai dil ko
hum khushi manate hain ab bhi teri aahat par
ab bhi teri aahat par chand muskurata hai
khaab gungunate hain ab bhi teri aahat par
tere hizr mein hum par ek azaab tari hai
chonk chonk jaate hain ab bhi teri aahat par
dastaken sajane ke muntazir nahi rehte
raaste sajate hain ab bhi teri aahat par
ab bhi teri aahat per aas laut aati hai
hum diye jalate hain ab bhi teri aahat par

No comments:

Post a Comment

wel come