Thursday, July 2, 2009

ab hai toota sa dil khud se bezaar sa

ab hai toota sa dil khud se bezaar sa
iss haweli mein lagta tha darbaar sa
iss tarah saath nibhana hai dushwaar sa
main bhi talwaar sa tu bhi talwaar sa
khubsurat se paaon mein zanjeer ho
ghar mein baitha rahun main giraftaar sa
gudiya gudde ko becha gaya kharida gaya
ghar sajaya gaya raat, bazaar sa
shaam tak kitne hathon se guzrunga
chaye khanon mein uddi ke akhbar sa
main farishton ki mohbbat ke layek nahi
hamsafar koi hota gunahgaar sa
baat kya hai ke mash'hoor logon ke ghar
maut ka sog hota hai teohaar sa
zeena zeena utarta hua aaiina
usska lehja anokha khankhdaar sa
vo aligarh ki shaamein kahan kho gayi
ab vo shayar kahan hai tarahdaar sa

No comments:

Post a Comment

wel come