Friday, July 3, 2009

ab kiya likhen hum khagaz par


ab kiya likhen hum khagaz par
ab likhne ko kiya baqi hai
ek dil tha so vo toot gaya
ab lautne ko kiya baqi hai
ek sakhs ko hum ne chaha tha
ek reit pe naksh banaya tha
vo reit toh kab ki bikhar chuki
vo naksh kahan ab baqi hai
ab kiya likhen hum khagaz par
ab likhne ko kiya baqi hai
jo sapne humne dekhe thay
kaghaz par saare likh daale
vo saare kaghaz phir humne
dariya ke hawale kar daale
vo saare khwab baha daale
vo saare naksh mita daale
ab zahan ha khali nakshoon ka
koi khwab kahan ab baqi hai
ab kiya likhen hum khagaz par
ab likhne ko kiya baqi hai

hum jinko apni nazmon ka
unwaan banaya karte thay
lafzoon ka bana kar taj mahal
kaghaz par sajaya karte thay
vo humko akela chod gaye
sab rishton se munh mod gaye
ab raste sare suune hain
vo pyar kahan ab baqi hai
Ab kiya likhen hum khagaz par
ab likhne ko kiya baqi hai ...!!!!

No comments:

Post a Comment

wel come