Friday, July 3, 2009

ae gham-e-dil kya karoon

shehr ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroon
jagmagati jaagti sadkon pe aawara phrioon
gaiir ki basti hai kab tak dar-ba-dar mara phiroon
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke haathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

yeh rupehli chhaon yeh aakash par taaron ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayal
aah lekin kaun jaane kaun samjhe jee ka haal
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

phir woh toota ik sitara phir woh chhoothi puljhadi
jaane kis ki goad mein aai yeh moti ki ladi
hook si seene mein uthi chot si dil par padi
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

raat hans hans kar yeh kehti hai ke maikhane mein chal
phir kisi shahnaz-e-lala_rukh ke kaashane mein chal
yeh nahin mumkin toh phir ae dost virane mein chal
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

har taraf hei bikhri hui, rangeeniyan, r'aanaiyan
har qadam par ishratein leti hui angdaiyan
badh rahi hei gaud phelai hui ruswaaiyan
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

raste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
laut kar vaapas chala jaaoon, meri fitrat nahin
aur koi ham_nawa mil jaaye yeh qismat nahin
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

muntazir hsi rk tufaan-e-bala mere liye
ab bhi jaane kitne darwaze hain waa mere liye
par museebat hai mera ahd-e-waffa mere liye
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

jee mein aata hei ab ahd-e-waffa bhi tod doon
unnko paa sakta hoon yeh aasra bhi chhod doon
Haan munasib hai yeh zanjeer-e-hawa bhi tod doon
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise bewa ka shabaab
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

dil mein ik shola bhadak utha hai aakhir kya karoon
mera paimaana chhalak utha hai aakhir kya karoon
zakhm seene ka mehak utha hai aakhir kya karoon
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

jii mein aata hai murda chaand taare noch loon
iss kinare noch loon uss kinare noch loon
ek dua ka zikr kiya saare ke saare noch loon
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane
sekdon changez-o-naadir hain nazar ke samane
sekdon sultan-o-jabir hain nazar ke samne
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

le ke ek ek changez ke haathon se khanjar tod doon
taj par usske damakta hai jo pathar tod doon
koi tode ya na toRde main hi badh ke tod doon
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

badh ke iss indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk doon
iss ka gulshan phoonk doon usska shabistan phoonk doon
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk doon
ae gham-e-dil kya karoon, ae wahshat-e-dil kya karoon

No comments:

Post a Comment

wel come