Wednesday, July 8, 2009

andleeb shadani ki shayyiri

der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye toh
aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye toh
shafaq dhanak mahtaab ghataayen taare nagmen bijali phuul
uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye toh
chahat ke badle mein ham toh bech den apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak koi hamen apnaaye toh

kyun ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch bhi nahin
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye toh
suni sunaai baat nahin hai apne oopar beeti hai
phool nikalte hain sholon se chahat aag lagaaye toh
jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye toh
nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye toh

No comments:

Post a Comment

wel come