Wednesday, July 8, 2009

andleeb shadani ki shayyiri

koi adaa_shanaas-e-muhabbat hamen bataaye
jo ham ko bhuul jaaye vo kyon ham ko yaad aaye
kis ki majaal thi ki hijaab-e-nazar uthaaye
vo muskura ke aap hi dil ke qariib aaye
ik dil_nashin nigaah mein allaah ye khalish
nashtar ki nok jaise kaleje mein tuut jaaye
kuch hamse bekhudi mein hui behijaabiyan
chashm_kazani sitaaron ne ki phuul muskuraaye
vo jaan-e-aarzu ke hai sarmaaya-e-nishaat
kyon usski yaad gham ki ghata ban ke dil pe chhaaye
tum toh hamin ko kehte thay ye tumko kya hua
dekho kanwal ke phuul se shabnam chhalak na jaaye
ik naatmaam khwab mukmmal na ho saka
aane ko zindgi mein bohat inqalaab aaye

No comments:

Post a Comment

wel come