Wednesday, July 8, 2009

anees ansari ki shayyiri

tumhare gham ka mausam hai abhi tak
lab-e-tashna[thirsty lips] pe shabnam hai abhi tak
safar mein aabale[blister] hi aabale thay
magar pairon mein dam-kham[strength] hai abhi tak
tumhare band dar mujhse khaffa hain
mere jeene ka maatam hai abhi tak
teri aab-o-hawa raas aa gayi thi
bichhad jaane ka kuch gham hai abhi tak
gayi ruut mein hui thi fasl achchhi
idhar paanii gira kam hai abhi tak
main khud ko dhuundhta phirta hun sab mein
junoon ka ik aalam hai abhi tak

No comments:

Post a Comment

wel come