Wednesday, July 8, 2009

anwar masood ki shayyiri

jis tarah ki hain ye divaaren ye dar jaisa bhi hai
sar chhipane ko mayassar toh hai ghar jaisa bhi hai
ussko mujhse mujhko uss se nisbaten[expectations] hain beshumar
meri chahat ka hai mahavar[focus] ye nagar jaisa bhi hai
chal pada hun shauq-e-beparvah ko murshad[guide] maan kar
rasta pur_pech[full of turns] hai ya pur_khatar[dangerous] jaisa bhi hai
sab gavara hai thakan saari dukhan saari chubhan
ek khushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai
vo toh hai makhsuus[special] ik teri mohabbat ke liye
tera 'anwar' ba_hunar ya be_hunar jaisa bhi hai

No comments:

Post a Comment

wel come