Friday, July 3, 2009

apni soi hui duniya ko jaga loon toh chaloon


apni soi hui duniya ko jaga loon toh chaloon
apne gham_khane mein ik dhoom macha loon toh chaloon
aur ik jaam-e-mai-e-talkh chura loon toh chaloon
abhi chalta hoon zara khud ko sambhaloon toh chaloon

jaane kab pii thi abhi tak hai mai-e-gham ka khumaar
dhundla dhundla sa nazar aata hai jahan-e-bedaar
aandhiyan chalti hain duniya hui jaati hai ghubaar
aankh toh mal loon zara hosh mein aa loon toh chaloon

vo mera saahir vo ejaaz kahan hai lana
meri khoi hui aavaaz kahan hai lana
mera toota hua vo saaz kahan hai lana
ik zara geet bhi iss saaz pe ga loon toh chaloon

main thaka hara tha itne mein jo aaye badal
kisi matvaale ne chupke se badha di botal
uff vo rangeen pur-israar khayaalon ke mahal
aise do char mehal aur bana loon toh chaloon

mujhse kuch kehne ko aai hai mere dil ki jalan
kya kiya maine zamane mai nahi jis ka chalan
aansu tumne toh kai baar bhigoya daman
apne bheege huye daman ko sukha loon toh chaloon

meri aankhon mein abhi tak hai muhabbat ka ghuroor
mere honton ko abhi tak hai sadaaqat ka ghuroor
mere maathe pe abhi tak hai sharaafat ka ghuroor
aise vehmon se bhi ab khud ko nikaloon toh chaloon

No comments:

Post a Comment

wel come