Wednesday, July 8, 2009

aqeel shadab ki shayyiri

baraye-e-naam sahi koi meharban toh hai
hamare sar pe bhi hone ko aasman toh hai
teri farakh_dili[large hearted] ko duaayen deta hun
mere labon pe tere lams ka nishan toh hai
ye aur baat ki vo ab yahan nahin rehta
magar ye usska basaya hua makaan toh hai
alawa isske na kuch aur parda rakh mujhse
faseel[wall]-e-jism mere tere darmiyan toh hai
bichhad ke zinda nahin rah sakenge ham donon
mujhe ye vaham toh hai unnko ye gumaan toh hai
saron pe saaya_figan abr-e-aarzu na sahi
hamare paas sarabon ka saayaban toh hai
gul-e-muraad[desire] nahin sang-haaye-tifl[child] sahi
gariib-e-shahr ka aakhir kisi ko dhyan toh hai

No comments:

Post a Comment

wel come