Wednesday, July 8, 2009

asar lucknawi ki shayyiri

dil ka rona theek nahin hai munh ko kaleja aane do
thamte hi thamte ashq thamenge naaseh ko samajhane do
kehte hi kehte haal kahenge aisi tumhen kya jaldi hai
dil ko thikane hone do aur aap mein ham ko aane do
bazm-e-tarab mein dekh ko mujhko pher lii aankhen saaqii ne
mere liye thay zahar halaahal isske bhare paimaane do
khude se gireban phat’te thay aksar chaak hawa mein udate thay
ab ke junoon ka josh nahin hai aayi bahaar toh aane do
yadi dil gumgushta mein thandi aahen bharta tha
hans ke sitamgar kehta kya hai baat hi kya hai jaane do
dil ko 'asar' ke luut liya shokh_nigah ik kaafir ne
koi na iss ko rone se roko aag lagi hai bujhaane do

No comments:

Post a Comment

wel come