Friday, July 3, 2009

badar do aankhein bohat dhoond rahi hain tum ko

badar do aankhein bohat dhoond rahi hain tum ko
chand ki chodhween taareekh hai, ooper dekho
raat soyi hui raanaaiyon ne mujhse kaha
hum tumhari hi ghazal hain kabhi hum ko bhi kaho
chandi raat mein keh jaati hai aahat jaise
hum bohat paas hain aawaz na do , hum ko suno
jis se umeed-e-waffa hogi wahi dukh dega
bewaffa jaan ke chaho jise ab ki chaho
usski qudrat mein nahi ruk ke koi baat sune
waqt awaaz hai , awaaz ko awaaz na do
muntazir kab se hain auraaq-e-kitaab-e-hasti
dil ka kuch rang karo nauk-e-qalam ko choomo
ek aawaz Bohat Kafi hai sote ke liye
log samjhenge bane lete ho ab jaag pado
aaj kamre mein nahi baithne wala mausham
bar'f girne ki khabar gar'm hai ghar se niklo

No comments:

Post a Comment

wel come