Thursday, July 2, 2009

chand ka tukda na suraj ka numaainda hun

chand ka tukda na suraj ka numaainda hun
main na iss baat pe naazaan hun na sharminda hun
dafan ho jayega jo senkadon man matti mein
ghaliban main bhi ussi shehr ka bashinda hun
zindgi tu mujhe pehchan na paui lekin
log kehte hain ke main tera numaainda hun
tan pe kapde hain qadamat ki alaamat aur main
sar-barhana yahan aa jaane pe sharminda hun
waqei iss tarah maine kabhi socha hi nahi
kaun hai apna wahan kis ke liye zinda hun

No comments:

Post a Comment

wel come