Friday, July 3, 2009

chuuta hi na kuch saath, kabhi humse ghamon ka

chuuta hi na kuch saath, kabhi humse ghamon ka
hone ko toh yun duniya mein ustaad bohat hain
itni toh na ruswa thi, tehreer-e-zahaalat
haan, daana bhi thay kuch, magar bedaad bohat hain
hum teri misahai pe tohamat nahin dharte
kuch zakhm thay aise bhi, jo naashad bohat thay
viraan hi dekhi vahan banglo ki kataare
yun chotte bhare ghar yahan, aabad bohat thay
ye faaka mastiyon ka hunar, tu bhi kuch samjh
iss ilm ke maahir, tere azdaad bohat thay
chataan kaat kar bhi na sheeri ko pa saka
jatan-o-jugat lagaye, vaan farhaad bohat thay

No comments:

Post a Comment

wel come