Thursday, July 16, 2009

daag dehlvi ki shayyiri

kisi ki tur’rah[kesh-pash], kis ka gesu[baalon ki lat], kis ki kakul[kesh], kis ki zulf
sab balayen ho gayin, jab dil pareshan ho gaya
dil mein le de ke raha tha ek qatra khoon ka
kuch nisaar-e-gham hua kuch sarf-e-mizgaan[palkon par bekaar] ho gaya
bosa le kar dil diya hai aur phir nalah hai ‘daag’
koi jaane muft mein hazrat ka nuksan ho gaya


No comments:

Post a Comment

wel come