Thursday, July 16, 2009

daag dehlvi ki shayyiri

gar jauk-e-sair[wish of walk] hai kuch toh dekh mere dil ko
ye bhi hai ik namuna jam-e-jahan-numa ka
iss parde ne tumhara naam aur bhi nikala
ye bhi koi haya hai jo naam ho haya ka
dast-e-hawas badha kar kyun martaba[respect] ghataya
samjhi na ye zulekha daaman hai parsa ka
kam hoga ‘daag’ sa bhi makaar ab jahan mein
uss buut pe shefta[prem mein] ho aur naam le khuda ka

No comments:

Post a Comment

wel come