Thursday, July 16, 2009

daag dehlvi ki shayyiri

baksh de uss buut-e-saffaq[sakht] ko ae daavar-e-mehshan[swarg mein nayekari ishwar]
khuun hi mujh mein na tha, khuun ka dava kaisa
duubte hain arq-e-sharm mein gairat wale
duub marne pe hi jab aaye toh darya kaisa
mujh se bhi dil na liya gaiir ki bhi jaan na li
aa gaya hai tumhen yeh apna paraya kaisa
gair ka jikr-e-waffa aur hamare aage
‘daag’ iss baat se jalta hai kaleja kaisa


No comments:

Post a Comment

wel come