Friday, July 17, 2009

daag dehlvi ki shayyiri

mere hi dam se mehar-o-waffa ka nishan hai ab
tujh-sa agar nahin hai toh mujh-sa kahan hai ab
kya marr gaya hun dekh toh ae charah-gar mujhe
unnki zaban se meri waffa ka bayan hai ab
baqi hai aadhi raat magar isska kya jawaab
ghabra ke vo ye kehte hain waqt-e-azaan hai ab
dekho zara-si sharm ne sab kuch mita diya
vo aankh, vo nigah, vo chitvan kahan hai ab
kya lutf-e-dosti ki nahin lutf-e-dushmani
dushman ko bhi jo dekhiye poora kahan hai ab

No comments:

Post a Comment

wel come