Thursday, July 16, 2009

daag dehlvi ki shayyiri

shaunq hai ussko khud-numai ka
ab khuda-hafiz iss judai ka
kisi bande ko dard-e-ishq na de
vaasta apni kibriyaai[mahanta] ka
buut-kade ki jo sair humne ki
karkhana hai ik khudai ka
sulha ke baad vo maza na raha
aur saamaan tha ladai ka

No comments:

Post a Comment

wel come