Friday, July 3, 2009

dehakti dhoop Sumandar hai , yeh jazeere hain

dehakti dhoop Sumandar hai , yeh jazeere hain
ghane darakht jo sadkon pe saaya karte hain
ajeeb shehr hai yeh iss ke aasmaan pe bhi
lahu mein duube huye surkh surkh dore hain
wo koi aur tha shab Khoon maarne wala
hamein na maro ke hum bezarar farishte hain
yeh patharon ka hai jangal chalo yahan se chalen
hamare paas toh geeli zameen ke poade hain
phir inn ke neeche darindon ke naam kis ne likhe
hamen yaqeen hai yeh sab chehre hamare hain
azeem dushmano , chaaqu chalao nauqa hai
mamare haath, hamari kamar ke peeche hain
Kahaniyon ki kai baatein sach huyein jaise
sunehre shehr sumandar mein behte rehte hain

No comments:

Post a Comment

wel come