Friday, July 17, 2009

hafeez jalandhari ki shayyiri

ye mulaqat mulaqat nahin hoti hai
baat hoti hai magar baat nahin hoti hai
baaryaabi[aana] ka bura ho ki ab unnke dar par
agle waqton ki madaaraat[respect] nahin hoti hai
wasl hai naam hum-ahangi[ek awaz]-v-yakrangi[ek rang] ka
wasl mein koi buri baat nahin hoti hai
hizr tanhai hai suraj hai sava neze par
din hi rehta hai yahan raat nahin rehti hai
fikre-takhlike sukhan masnade rahat pe ‘hafeez’
baieese kashfo karamaat nahin hoti hai

No comments:

Post a Comment

wel come