Friday, July 17, 2009

hafeez jalandhari ki shayyiri

iss naye din ko hun main raat samjhne wala
hai koi aaj meri baat samjhne wala
jalwe-subah qayamat ke liye hai bedaar
chaand taaron ke ishaarat samjhne wala
aaj kal tub hi nashe mein hai tu mujhse na ulajh
main hun kamzarf[[oncha] ki aukaat samjhne wala
mere bigade huye tevar bhi samjh le ae kaash
mere bigade huye halaat samjhne wala
iss naye range-ghazal se hai pareshan ‘hafeez’
sher ko harf-e-hikayat[imaginary stories] samjhne wala

No comments:

Post a Comment

wel come